Cheems' Home
Faimily History
My Pics
My family Pics_1
My family Pics_2
Contact Me
About Me
Events
Curriculum Vitae
Sweet Collections
Urdu Poetry
English Poetry
Professions...1
Professions...2
Links
Guest Book
|
Urdu Poetry
All these Guzals are written by me. Hope you will enjoy to read them. *All rights are reserved.
AADAT
Tunhaeoon main rahnay ka aadi sa ho chukka hoon
Tujay soochtay rahnay ka aadi sa ho chukka hoon
Diyaray eishq main iss dunya say bey khabber
Tarri yadoon main khoay rahnay ka aadi sa ho chukka hoon
Sumjaya to buhhat hay iss dilay nadaan ko maghur
Mar mar k jeetay rahnay ka aadi sa ho chukka hoon
Jooth hi khtay mughur khtay to sahi kuch
Main taray boal suntay rahnay ka aadi sa ho chukka hoon
Uluj kar rah giya hoon taray khiyaloon ki chaoon main
Jaagtay khawb dakhtay rahnay ka aadi sa ho chukka hoon
Yunnhi her chahray main nazar aata hay mujay tara chahra
Tarri tusveer dakhtay rahnay ka aadi sa ho chukka hoon
Wafaoon ka silah hum nay manga to naheen tum say
Tarri baywafaeyan sahnay ka aadi sa ho chukka hoon
Neeand bi naraaz ho gae jub say to giya hey
Raat ber jhagtay rahnay ka aadi sa ho chukka hoon
Waseem kiun na lufzoon main samaytoon dil k juzzbaat ko
Aab to shaer likhtay rahnay ka aadi sa ho chukka hoon
THO KIYA KARO GAY
Kushi say bishar rahay tho ho hum say magar
Jub kubbi mari yaad aaee tho kiya karo gay
Hijur ki shub main unjamain muhabat par
Tunhae main kubbi roay tho kiya karo gay
Yadoon kay jazeeray pay sared rutt jagoon main
Jub kubbi soo na paay tho kiya karo gay
Uthii jo nazar to sittaroon k jurmatoon main
Iik tootta tara jo nazar aaya tho kiya karo gay
Dil ko naay rung main rung tho liya hay tum nay
Utth gaya jo ruh say parda kubbi tho kiya karo gay
Wo aaena ay dil jo seenay main chupaay bathay ho Waseem
Aager kubbi uss pay khiraash aagaee koee tho kiya karo gay
DIL KI BAAT Main lufz ba lufz per layta hoon taray dil ki her baat
Dil waloon ko to payshani pay lika nazar aata hey
DASTAAN Gumay dastann upni hum kissi ko suna na suckay Halat dil ki hum kissi ko batta na suckay
Hazar bar daekha hay tujay lakin
Piass ankhoon ki hum phir bi buja na suckay
Oor yeh k humann tum say muhubbut hey
yeh raaz bi hum kissi say chuupa na suckay
barri chah thi taray dar pay mar janay ki sanum
Waadda wo wafa ka hum phir bi nibah na sackay
Dil to ronay ko bohuth karta hey Waseem
In ankhoon say ansoo hum phir bi girra na suckay
AANCHUL
Aanchul gira k guzray Kushbo bissa k guzray
Mujay devana bana k wo zara sa muskura k guzray
Apnay andaz say kia mujj pay kuch aasa jado
Aaena a dil toer k kudh nuzrann juka k guzray
hay maray dil mann bi kantonn ki Hakomut
Iss nazuk badan say kah doo k damann bacha k guzray
kia dushmanni thi hum say thundi hawa k jonkoo
kio charaag maray dil k buja k guzray
Aaj hall unn ka bi hay dakhnay k kaabil Waseem
jo hum par bi Kabhi thay muskara kay guzray
DEDARAY JANA
Aek arssa guzar chuka hey dedaray jana keye howay
Aey baday saba k jonnko, ittna to bata o kis hall mann hain
Beeat gay sawun k din aaub rutt anokhi ae hey
Wasal howa tha jin k neachay, wo buddliann kiss hall mann hain
Uss nay kurwaya tha khabi khusboo say ta_aa_ruf jo maera
Aa murgay chammun to hi bata, wo ahlay gulistan kiss hall mann hain
Ehday waafa banndday thay jiss jugga par khabi hum nain
Ae akhtaray seher to he bata, wo kah_ka_shann kiss hall mann hain
AAS
Apnay dil main kisi ki aas laghay bhatha hoon
Apnay dil main muhabat ki pyas laghay bhatha hoon br>
Muhabat too kee hum nay un say lakin
Apnay dil pay ye zakham laghay bhatha hoon
Muhabat kar kay un say bewafai na kee hum nay
Maghar apni peshani pay , yea daag laghay bhatha hoon
Apna hoo kar bhee w hamain samajtain hain gheer
Muhabat kay safar main yee elzaam bhee laghay bhatha hoon
Pyar kay samundar main, yoon behal hoo kar bhee Waseem
Apnay seenay main muhabat ki ik aag laghay bhat
ANKHOON MAIN
Kisi koo appni ankhoon main samana chahta hoon
Kisi kay dil main apna ghar banana chahta hoon
Jo koi bhee karay ga ham say muhabat kabhi
Usay apnay dil main basana chahta hoon
Oor jo karta hai ham say nafrat aghar
Usay pyar ki rah pay lana chahta hoon
Kisi kay dil main muhabat ka dia jala kar
Parwana us shama ka bun jana chahta hoon
Apni zindagi ka hamsafar bana kar
Dil kay aynay main usay sajana chahta hoon
Us ki sansoon ki kushboo bus kar Waseem
Zindagi bhar ka saath nibhana chahta hoon
UDASI
Jab say dheeka hay us nay mujhay us waqat say
Us nazuk badan koo kush labas banya bhatha hoon
Apni muhabat ka asar choor kar us par mian
Kuch arsa say usay udas karay bhatha hoon
Maghar jab say ghay hain woo bhee dooor ham say
Uss waqat say main bhee beghar methas muskray bhatha hoon
Ho sakta hai woo bhee kartay hongay betay lamhoon ko yaad
Beetay lamhoon ki too main bhee aas laghay bhatha hoon
Apni tareef kay kabal to nahin hoon main Waseem
Maghar apnay sheeron say apni shanas karay bhatha hoon
ZALIM LOOEG
Khtay hain baray zalim hain yah zamanay walay
Hud to chaaen sey jitay hain oor humain murnay bi naheen datay
Kiyah zikar karoon uss ki ruswaeoon ka aab
Hud too hunstay hain saray mahfil oor humain ronay bi naheen datay
Nazuki unn ki dakhiyay jo dioon pay raaj karaty hain
Kud too phooloon pey chultay hain oor humain kantay bi naheen datay
Raat bhur unheen ungraeyoon main kut jati hay Waseem
Hud too khaboon main khoey hain orr humain soonay bi naheen datay
|
|
BHOEL Apnay seenay maen jo piyar k diyey jalla rukhay hean Aansoo a gum say inhaen bujja ao kissi din
Apni aankhonn maen jo piyar ka darya samaey howay ho Uss darya ko kissi samundar maen baha ao kissi din
Wo dil jo maray piyar maen dewanna howa hay Uss dilay bayqarar ko sumjao kissi din
Apni aankhonn maen jo piyar k supnay sajaey howay ho
Inhean khushboo ki turah fiza maen bikhaer ao kissi din
Uss Shakuss ki battonn maen khabi na aana Waseem
Bhoel kar bi ussay bhoel jao kissi din
KHUSHBOO
kiun maray mun ko ittna satatay ho tum
kiun maray tun ko ittna turpatay ho tum
Muhabat ki khushboo bassa kar dil maen maray
kiun maray gi ko ittna jalatay ho tum
Zinda ho kar bi zinda naheen haen mugur
Kiun sookhay phoolonn maen khushboo basatay ho tum
Piyar ki rah maen uun battuk janay k baad
Kiun wafa ki munzil mujay dikhatay ho tum
Abbi to tamamm ummer parri hay muhabat k wastay
Kiun piyar k samunder maen mujay bahatay ho tum
Maray dil ki bussti ujar janay k baad Waseem
Kiun Ujray gulistan maen phool sajatay ho tum
CHEEAN
Dil ko naheen hey chaeen sanum teray bagair
Hum mein ho gae hay judai, jub say
Her taruf khamooshi si cha gae hey ek
Mahfil mein ho gae hay tunhai, jub say
Aanso bahanay ko karta hay dil maera
Muhabat mein ho gae hay rooswai, jub say
Muhabat ki koe kirun aati naheen nazar Waseem
Do dillonn mein ho gae hay, beywafai jub say
SAFAR
Kal dooranay safar ek ajnabi say hoi mulakat mari
Pul bhar mein ajnabeeat say shanasai ho gae
Unn ki juki juki aankhain kuch khah rahi theen hum say
Pul bhar mein beywafae say bawafai ho gae
Chand boal unn k muon say sounnay ka intizaar tha hamain
Pul bhar main uss humsafar say dilrubai ho gae
Kuch arsa pass rehnay k howay wo dooer hum say
Pul bhar main shanasae say juddai ho gae
DOORI
kiun doar ho gay ho hum say, dil laganay k baad
Phir ehday wafa baand kar, dil maen utter jao kissi din
Rooze doar say dakh kar chulay jatay ho sanum
Bhoal kar saray gum, maray pass aao kissi din
Gum k phoolonn maen piyar ki khushboo ko basanay k liyah
Phir say maray dil maen buss jao kissi din
Aasmann pay baadlonn ki soorat kiun ghoomtay rahtay ho
Jooshay muhabat maen maray aangun maen barus jao kissi din
PIYAR
Tujay dil maen basanay aaon ga
Tujay main apna bananay aaon ga
Jitna Raho gay dooar hum say
Uttna he main kareeb aaon ga
Nafrut karo gay jitni hum say
Uttna he dil maen piyar jagaonn ga
Apni muhabat ka aks dakhnay ki khater
Aaena main tuj ko apna banaonn ga
Tari aankhonn ka bun kar kajal main
Char chand hussun taray ko main lagaon ga
Phoolonn ki sayj pay bitha kar tuj ko
Piyass aankhonn ki apni main bujanon ga
Oor piyar k gheet soouna kar tuj ko
Taray dil maen apna ghur main banaon ga
Aakhir tum maray dewanay ho he jao gay Waseem
Jub shaer apnay muhabat k tuj ko main soounaon ga
KUBHI KUBHI
Rooz guzartay hean taray ghur k samnay say hum
Dikhai bi daey diya karo na tum hamaen kubhi kubhi
Kub tuk uunhi rustonn maen phir tay rahean gay hum
Shurfay mulakaat bi bukhsh diya karo na tum hamaen kubhi kubhi
Tuj ko dakhtay hi lubonn ko si latay hean hum
Izharay hiyaal bi kar lanay diya karo na tum hamaen kubhi kubhi
taray piyar maen pagal howay ja rhay hean hum
Zulfonn ki chaonn maen he bitah liya karo na tum hamaen kubhi kubhi
Oor kuch naheen mangtay tari muhabat maen hum Waseem
Piyar say daekh he liyah karo na tum hamean kubhi kubhi
ZULAFEAN
Muj ko dakhtay he wo zara sa muskuranay lugay
Chupkay chupkay wo maray dil k kareeb aanay lugay
Hoi hay jub say nuzronn ki tukrar un say
Rufta rufta wo muj say mara dil churanay lugay
Yaad purta hay hum bi moam ho gay thay kubbi
Rashmi zulfean thi jub wo apni hilanay lugay
Aaj mahfil maen wo bi roo parray thay shayed
Halut dil ki jub hum un ko sunanay lugay
Ikk hamoshii si chaa gae chehray pay unn k
Shayed wo bi thay humean kuch batanay lugay
Wo maray piyar mean thay uoon pagal honay lugay
Shayed wo apni aankhonn maen muj ko bsanay lugay
Oor kuch lumhonn mean wo hum say ghaeer ho diyay
Na janay maray dil k gulistann ko kiun jalanay lugay
Itnay to gaya guzray naheen thay aay sung dil sanum
Hum say abb yah nuzrann kiun chupanay lugay
Chahut k armann to dil say chura he liyay haen tum nay
Abb hum say tum apna damun kiun chooranay lugay
Uoon to chulta hay muhabat k iss karwann mean
Hum ko dunya k agay kiun ittna jukanay lugay
Muhabat ki aarzoo to uss ko hoti hay Waseem
Chooat kha kar bi jo sadda muskuranay lugay
DIWAAN
Apnay samnay apna diwaan khula rukha hay
Iss diwaan maen apnay eshaar ko ssja rukha hay
Inn eshaar maen ikk diya jla rukha hay
Iss diyey maen ikk doonwa sa utha rukha hay
Iss doonwann maen ikk khushboo ko mahka rukha hay
Iss khushboo maen gum k aanso ko bha rukha hay
Iss aanso maen apnay mahboob ko sma rukha hay
Iss mahboob maen apnay dil ko bsa rukha hay
Iss dil maen muhabat ki aag ko luga rukha hay
Mugar iss aag ko parhai nay buja rukha hay
JANAY GAZAL
Tum chunda mahtaab ho ya ho koe kanwal
Tum chodween ka chand ho ya ho koe Mahal
Tumhain Raat khoon ya khoon tumhain saher
Tum sabhi kuch to ho aay mari janay gazal
TOO TO BEY KHUBBAR HAY
Aay dilay bey khubbar
Aay sungh dil sanumm
Tujay kiya maloom
Muhabat kiya hey
Shaam k dultay he
Raat k phichlay pahar main
Jub tumhari yad aati hey
To Subz pattoon pay khizan a jati hey
Baharain rooth jati hain
Dil ki gulyan veran ho jati hain
Bay moosam hawain chulti hain
Uddasiaan chah jati hain
Too to sahil hey
Tujay kiya maloom mooj ka durrd
Thatain martay sumundar main
Jub wo gahray zahum khati hey
Oor jub muhabat ka ghur toot jata hey
To wo kirchi kirchi ho kar
Hawaoon main bikhar jati hey
Par tumhain kiya maloom
Too to bey khubbar hey
Sungh dil hey
YEH TUM NA JAN PAO GEY
Jub suraj kay dhul janay pey
Dil kay darwazay pey
Shaam dustak dehti hey
To thundi hawain chulti hain
Oor tari yadain aati hain
Dil pey kiya kiya beet jati hey
Yah tum na jan pao gey
Yah din kasay guzarta hey
Yah ratain kasay guzarti hain
Yah subho kasay hoti hey
Tum bathey ho kissi unjaney main
Yah tum na jan pao gey
Yah chandni kasay hoti hey
Taray kasay jilmalatey hain
Yah barsat kasay hoti hey
Dil beyqrar kasay hota hey
Tum khoey ho kissi afsanay main
Yah tum na jan pao gey
Yah phool kasay khiltay hain
Khushboo kasay phail jati hey
Phool sey puttiyan toot ker
Kasay bikher jati hain
Tum khoey ho kissi veraney main
Yah tum na jan pao gey
Jub koyal ko ko karti hey
To dil key Tar bujtey hain
Jub chiryan chon chon chonkerti hain
To main tari sochoon main
Kasay Dooeb jata hoon
Yah tum na jan pao gey
Jub in nazuk hontoon pey
Tara nam aata hey
Yah sansain kasay rukti hain
Yah dil kasay dhrukta hey
Yah tum na jan pao gey
YAD
Taray ruh k gulshun main jub bi bhar ae gi
Taray mun ki har kali khil jae gi, to yad aaon ga
Taray hussun k anngun main jub bi maray piyar ki khushboo mahkay gi
Apni aankhoon main aansoon ki tara chuppa lo gi, to yad aaon ga
Taray piyar k sagar main jub chahat rung laey gi
Apnay dil main durkan ki tarah basa lo gi, to yad aaon ga
Aab to yah zahum bi apnay seenay main basa lata hoon
Apnay hath ki lakeeron main iss dastanay muhabat ko paro gi, to yad aaon ga
taray piyar kay samundar main jub mari zindgi ka diyah buj jaengay
Apnay gurh k darichay say lug k roo gi , to yad aaon ga
JUDAE
Yah kasa tari muhabat ka dustoor howa
Tari muhabat may tuj say main dooer howa
Buhat chaha taray qareeb rahnay ko magur
Wo hi howa jo maray rub ko munzoor howa
Muhabat main tum say judae panay k bad
Ghray zukhmoon say to main bi choor howa
Naheen phoochtay tum say baywafae ka sabub magur
Ittna to batao k muj say kiya kasoor howa
Dunya main wohi kuch pa suko gay Waseem
Iss zindgi main jo tara muqdoor howa
WAFA
Faluq pay koe sawan ki ghuta chae hay phir say
Kushk putoon pay ik bahaar si chae hay phir say
Piyar ki munzal main ayyamay judae panay k bad
Punkhari ik gulab ki muskurae hay phir say
Main nay to Dastanay gum ko chara tha yunhi
Aap kiun ho gaey they muj say hafa phir say
Jurri barsat ki lug gae thi mari aankhoon say
Waqtay rukhsat jub howay they tum juda phir say
Ahday zindgi banday ja rhay hain aaj phir Waseem
Doo dilloon mainho rhai hay na wafa phir say
TUMHARI YAD
Tarey janey k bad
Dil k ujur janey k bad
Jub tari yad
Marey dil k durwazay pey
Dustuk dati hey
To bin bursay badal ki tara
Bin bursay, Bin bolay
Chupkay say
Muj asy yah khahti hey
Kiya tujey bi mari yad aati hey
|
|
|
|
Comments
Please send an email for any comments
|
|
Email
wacpk@hotmail.com
|
|
|
|
|
|
|