Cheems' Home
Faimily History
My Pics
My family Pics_1
My family Pics_2
Contact Me
About Me
Events
Curriculum Vitae
Sweet Collections
Urdu Poetry
English Poetry
Professions...1
Professions...2
Links
Guest Book
|
Sweet Collections
FOR MY SPECIAL FRIEND
Good friends are hard to come by, and i thank of myself as being very lucky for having known you for you are the best friend Amoung could wish for, you are truly a very good friend to me and i would like you to know that i really do appreciate that you are always there when i need a sympathic ear
you have listened to my problems
on many occasions.
you have helped me through bad times
and laughed with me through the good times
you encourged me when my cofidence warered
and helped me belive in myself again
you really are a very special person
and a wonderful friend
and i hope that some day
i can be as good a friend to you
as you have been to me.
WHAT IS MARRIAGE
It is sharing and carring
Giving and forgiving
Loving and being loved
Walking hand in hand
Talking heart to heart
Seeing throught each others eyes
Laughing togather
Weeping togather
Praying togather
and always trusting and
Believing
and thanks God
For each other
FOR-
Love that is shared
is a beautiful thing
It enriches the soul
and makes the heart sing.
THANK YOU
Some people
have a talent
for doing just the right things
for making others happy,
for bringing
special joy to life
Thank you
for doing just that.
LOVE ME
Love me....just love me
Hold me tight
As moon rounds full
Love me in soft light
Love me....just love me
In cadence and rhyme
With words romantic
Still the hands of time
Love me....just love me
I want your heat....desire
Let us fan the flames
Of passionate fire
Love me....just love me
with mind , body, and soul
.......emotions free......
without losing control
love me....just love me
until at last we must part
love me....just love me
with all of your heart.
~SEA
|
|
MUJAHEY BHULA DAINA
Mujhey bhula deina... mein is rah par na chal sakoon ghi meri aakhri baat maan na mujhey bhula deina... hamari wafa menzil tak nah pohanch saki
to
mujhey bewafaii ka naam mat dey deina..
mujhey bhula deina...
tumhaari yadein...
tumhari baateinsab kabhi na bhula sakoon ghi
yehi duwa
har dam
har pal karoon ghi
ke kisi aur ko tum apna leina
mujhey bhula deina
har woh cheez jiss se juri meri yaadein
ho sakey to un sab ko jala kar...
raakh bana deina
mujhey bhula deina
woh duwa jo humney saath mein hi ki thi
mein na kar saki puri
usse bhula deina
mujhey bhula deina
mein har aafto toofano ka samna kart
ager ik jo teri jaan ko khatra na hota...........
mein nahin bewafa
majboori ney maara mujehy
mujhey maaaf kar deina
mujhey bhula deina...........................................
BY: SUBAHO at HC
AJJ DOSTI KERLAIN
Itnay achay mousam main
Rothna nahin acha
Haar jeet ki battain
Kal pe hum utha rakhen
Aaj dosti kerlen
Aaj dosti kerlen
BY: MISS ISHA at HC
EK BAAT KAHOON GAR SUNTEY HO
Ek baat kahoon gar suntey ho
Tum mujh ko achay lagtay ho
kuch chunchul se kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtay ho
hein chahnay walay aur bauhat
per tum mein hai ik baat bauhat
tum apnay apnay lagtey ho
Ik baat kahoon gar suntey ho
Tum mujh ko achay lagtey ho
ye baat baat pe kho jana
kuch kehtey kehtey ruk jana
yeh kis uljhun mein rehte ho
kya baat hai hum se keh dalo
ik baat kahoon gar suntey ho
Tum mujh ko achay lagtey ho
DUA TO JANEY KNOSI THEE
Dua to janey konsi thee
Zehan mey nahi
Bas etna yaad hai
Keh do hatheylia'n mili hoi thee'n
Jin mey aik meri thee
Aur aik tumhari!
MUHABAT IK SHAGUFTA CHEEZE HAY JANA
Muhabat ik shagufta cheeze hay jana
Kay jis kay sher say sehra bhee nukhlistan ho jain
Yay insanoo kay jewon main
Ik asee roshnee hay
Asa ik ujala hay
Kay jis kay noor kay under
Her ik ulghan sabhee maslay
Kuch is terha say hul hotay nazar aain
Kay jasay wo hamaray wahamay thay
Muhabat asa rusta hay
Kay asay rastay per jo chlay
Chulta chlaa jaay
Yay asa shoq hay
Insan ger thamna bhee chay
Thum na paay
Yay asee fiqer hay jo her parayshanee bula day..
Dilon ko yon jaga day
Kay ager phir wo kabhee sona bhee cahain
So na paien..
Muhabat inqlab -e-zindagee hay
Yay tabdeelee ke asee rosnee hay
Kay jis kay noor kay agay
Koee soraj bhee aaey
Mand per jaey
Muhabat asa jazba asee chhat hay
Faqeeron ko kabhee yay shah buna day
Jisay bhee yay milay wo sub bula day..
Zamanay bhar ke dolat ko luta ker
Muskra day...
Kisee ke muskurahat daknay ko
Hazaron gham uta lay aur maza lay...
Magar masood asee ik muhabat
Kay jis kay tum hamaysha muntazir ho
Kabhee tum ko milay gee tum nay socha...
Haan main nay socha hay
Hazron bar socha hay
Main kuch bhee keh nahin sakta
Mujhay yay na milay shhid
Magar jana
Yey chand ..asman ..yay taray
Mujhay na bhee milain tub bhee
Mujhay yay sub bhot piyray lagin gay...
Muhabat ik shgufta cheeze hay jana
REET ISS NAGAR KEE HAY
Titliun kay mausam mein nochna gulabun ko
Reet iss nagar kee hay aur jane kub se hay
Dekh ker parindun ka bandhna nishanun ka
Reet iss nager kee hay aur jane kub se hay
Sheher ke yeh bashinde nafratun ko bo ker bhee
Yeh umeed kartay haen fasl ho muhabbat kee
Chor ker haqeeqat ko dhondna saraabun ka
Reet iss nager kee hay aur jane kub se hay
Tum abhee naey ho na iss liye pareeshan ho
Aasman kee jaaneb iss tarah say mat dekhu
Aaftein jub bhee aani hun tootna sitarun ka
Reet iss nager kee hay aur jane kub se hay
Ajnabee fizaun mein ajnabee musafir say
Apne her taaluq ko daimee bana lena
Aur phir bicharnay per mangna duaaun ka
Reet iss nager kee hay aur jane kub se hay
NAYE DINO KAY NAYE SAFAR MAIN DHIYAN RAKHNA
Naye dino kay naye safar main dhiyan rakhna
khamosh, chup chaap
kuch na kehti in saa-aton nay
sonp dalay naye taqazay rafaqaton ko
dhiyan rakhna
kay apnay hisay kay sab taqazay nibahnay hain
sath chaltay howay safar main
har aik digar per chahaton kay gulab likhna
warq warq aitemad jis main
harf harf main ho jaan nisari
nai khushiyan
naye manazir
nai misalain
naye hawalay
bas aik aisi hi muhabbaton ki kitab likhna
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Os ko chaha bhi izhar na karna aaya
Kut gai omer hamai.n pyar na karna aaya
Os nay manga bhi to kiya judai mangi
Aur hum thay kay hamai.n inkaar na karna aaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq samander he...
Samender mein jazere hein...
Jazero mein khush moti kush here hein....
Heron ki chamak se ager kheera ho jayein tumhare ankhen ....
To samajh lo be cheen guzrein ge ratein....
Raton mein pher peher bhe hein...
Pehron mein pher rog bhe hein...
Rog asal mein ishq ke rog hein ...
Rog ger palnein he dil ger dhalnein hein to ansoyn se dosti ker lo......
Ansooo bhe pher bohat se hein ....
Kuch hijer ki tamazet ke ....
Kuch wasal ki alow ke....
Jaab ansoyn mein shabnam mein koi farq na rahe ....
To samajh lo ki munzil a gayee he.....
Munzelein bhe bohat se hein.....
Kuch munzilon ko raste nahi jate ....
Kuch raston ki manzele nahi hotein....
Jab raston pe munzilon pe chalte chalte thak jayo....
To ik nazer asmaan ki taraf theak lenan...
Asman bhe bhir saat hein....
Asman per arsh bhe he .....
Arch per allah bhe he ...
Aashiq to allah bhe he aur ye kehta rehta he ke......
Ishq samander he...
Samender mein jazere hein...
Jazero mein khush moti kush here hein....
Heron ki chamak se ager kheera ho jayein tumhare ankhen ....
To samajh lo be cheen guzrein ge ratein....
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt
Kal tumare pas waqt na tha
Mere liye
Aur mein tumari
Qurbat ki talb .......dil mein basaye
Tumari muntazir thi
Aur phir jab
Muje fursat na thi
Aur mein majboriun
Ki zanjeer mein jhakri hoi thi
Tu....
Tumhein mera intazr tha
Mager shaid
Us lame tum ne
Yeh na socha ho ga
Ke
Kabhi muje tumari zaroorat thi
Kabhi mein tumari
Muntazir thi
Mugar tum............
Aur ab jabke
Ham dono ko fursat hei
To halat ijazat
Nehi dete
Ke ham dono mil sakein
Abb malal hei
Dono ko.
~fatima rahi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phool khil nahin patay
Bay rang ho jatay hain
Khushboo khud say katrati hay
Chandni
Apni agoosh say bagnay lagti hay
Garaz
Her cheez apna hawala khona chahti hay
Jab bhi tum
Muskarati ho.........
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi se baat karna bolna acha nahi lagta
Tujhe dekha he jab se dosra acha nahi lagta
Tere bare me din bher sochta rehta hon main lekin
Tere bare me sab se pochna acha nahi lagta
Main ab chahet ki us mansil per aa pohncha hon
Teri ganib kisi ka dekhna acha nahi lagta
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Buhat hi yaad aata hai mery dil ko tarpata hai
Woh tera pas na hona buhat mujhko ko rulata hai
Humain woh yaad aateen hain teri masoom see bateen
Woh qiseey aur who apni sunehri woh mulaqatein
Woh meera muskura kai dheeray se kuch gunguna dena
Tera palkein utha kai sharam se nazrian jhuka laina
Woh mera teri ankhoon kai samandar main utar jana
Aur teri muskurahat kai bhawar main doobtey jana
Teri chancal adaon ke sehar sey na nikal pana
Tujhehe ko dekhna aur bekhudi se dekhtey jana
Buhat chaha ke in guzrey hua lamhoon ko na soochun
Na teri yaad main reh ke na tery saath ka soochun
Bhuladon sari yadoon ko ke gin saie dil tarapta hai
Ke gin se tees uthti hai ke gin saie daard hota hai
Magar jab raat aati hai to teeri yaad aati hai
Teray he khawab hotey hain teri hi baat hote hai
To tey paya kai ab mumkin nahi tujh ko bhula dena
Tumhari yaad main rehna tumhey hi sochtey jana
Tujhey jab yaad kartey hain to dil apna tarapta hai
Woh tera pass na hona buhat mahsoos hotaa hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bachpan kay dukh kitney achey hotey they
Tabb to sirf khiloney toota kertay they
Wo khushian jaaney kesi khushian thien
Titli kay per noch ker uchla kertay they
Maar k paon khud baarish kay paani main
Appni naao aap daboya kertey they
Sochtain hain to chot si dil ko lagti ha
Aap banaey aap gharondey tora kertey they
Apney jal jaaney ka kuch ahsaas naa tha
Jaltey huwey sholon ko chera kertay they
Khushbu k urtey hi kiun murjhaya phool
Kitney bholeypan say poocha kertay they
Aaj unn ki ta'beerain or rulaatien hain
Bachpan main ham jo sapney dekha kertey they
Abb to aansu ka ik katra bhi ruswa ker jata ha
Bachpan main ham ji bher k roya kertey they...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi maazi mei’n jaaei’n tou muhabbat yaad aati hai
Naee thouker jou khaaei’n tou muhabbat yaad aati hai
Zamaney ki nigaahou’n sey kisi girtey sey insaa’n ko
Saharey sey uthaai’n tou muhabbat yaad aati hai…..
Uthai’n kaali ghataai’n tou, sitaarey jagmagaai’n tou
Parenday chehchahaai’n tou, muhabbat yaad aati hai
Koi khushboo jo mass hou tou, kisi lehjay mei’n rass hou tou
Kahee’n nazrai’n milaai’n tou muhabbat yaad aati hai
Kahee’n ghunncha jo chatkhey tou, koi titlee jo bhatkey tou
Kahee’n ujrai’n sabaai’n tou muhaabat yaad aati hai…
Koi mehroom-e-ulfat ho, koi andhoo-e-kulfat ho
Kahee’n cheekhai’n wafaai’n tou, muhabbat yaad aati hai
Wohi sheesha banaai’n tou, wohi pathher giraai’n tou
Wohi maktel sajaai’n tou muhabbat yaad aati hai
Sitam ko bhool jaai’n tou, karam ko aazmaai’n tou
Ginei’n apni khataai’n tou muhabbat yaad aati hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum jis khawab main aankhain kholo
us ka roop amar
Tum jis rang ka kapra pehno
wo mausam ka rang
Tum jis phool ko hans k dekho
kabhi na wo murjhay
Tum jis harf pay ungli rakh do
wo roshan ho jay
~Amjad ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Paas nahin,
ehsaas to hai
aas to hai,
bhula nahin paii
lekin...
ik duwa to hai
woh yaad to hai...............
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aye KHUDA aaj yeh faisla karday,
Usay mera ya mujhe uss ka karday
Bohut dukh sahay hain maine
Koi khushi ab mera muqaddar karday
Bohut mushkil lagta hai us se duur rehna,
Judai ke is safar ko kam karday,
Jitna duur chalay gaya hai woh mujh se,
Usay uttna hee meray kareeb karday.
Nahi likha agar naseeb main us ka milna,
Khatam ker yeh zingadi, mujhe fana karday
|
|
|
|
|